Masjid Nabvi History In Urdu Essay Masjid Nabawi Ki Tameer Construction Expansion Tareekh

  Admin      
Masjid Nabvi History In Urdu: Jub Rasool Allah SAWW hijrat kar ke madina pohanchay tou us zamane mein is shehar ko Yasrab kaha jata tha. Qabila os se taluq rakhne wale Musalman log rzana Aap SAWW ke intezar mein dor tak istaqbal ke liye bahir atay. Akhir kar aik din logon ne dekha ke Aap SAWW aik ontni par sawar tashreef la rahe hain. Logon ne Aap SAWW ka behtareen istaqbal kiya.
Jis din aap Madina ke andar tashreef laye us roz Shaba Karaam Aap SAWW ke sath sath chal rahe thay. Aap SAWW ki hifazat ki hatir un ke hathon mein naizay aur talwarain chamak rahi thien. Un mein se har aik ko ye umeed thi ke Aap SAWW us ke haan qayam karain. Magar jo bhi darkhawast karta aap bari shafqat se farmatay ke ye ontni Allah Ta'ala ke hukam se chal rahi hai, ye jahan thehre gi wahin mera qayam ho ga. Aap SAWW ne us ki nukail dheeli kar rakhi thi, chunanchay ontni musalsal chalti rahi aur us muqam par pohanch kar baith gyi jahan aaj Masjid-e-Nabvi hai. Aap SAWW ne us jagah ke bare mein pucha tou bataya gya ke ye jagah khandan Banu Najjar ke 2 yateemon ki hai. Banu Najjar ka taluq Aap SAWW ke Dada ke nanhyal se tha, phir Nabi Kareem SAWW ne farmaya.
"In Sha Allah yehi mera ghar hai."
Yehi jagah thi jahan Masjid Nabawi aur is ke bilkul sath Aap SAWW ki rihaesh ke liye hujray tameer hue. Yateem bachon ne israr kiya ke wo ye zameen muft paish karain gey lekin Aap SAWW ne asal qeemat se zayada qeemat de kar us zameen ko khareed liya, phir wahan se khajoor aur gharkand ke darakht kat kar qabilay ki janib laga diye gye, us jagah par mushrikeen ki qabrain bhi thien jinhain ukharwa diya gya. Masjid Nabvi ki tameer mein Nabi Kareem SAWW ne khud bhi hisa liya. Deewarain kachi eenton aur garay se banai gyien, Roof khajoor ke paton aur shakhon se bani aur satoon khajoor ke tanon ko banaya gya.

Masjid Nabvi ki pehli tose khud Nabi SAWW ne ki, phir Hazrat Umar Bin Khattab, Hazrat Usman Bin Affan RA aur Waleed Bin Abdul Malik ne apne apne ahd mein is ki tose karai. Baad mein Turkon ne aur dor-e-hazir mein bohat bare paimanay par Shah Abdul Aziz Al Saud aur Shah Fahad Bin Abdul Aziz ne tose karai.
Hadees mein Masjid Nabvi ke mutadad fazail bayan hue hain.
Nabi Kareem SAWW ne farmaya:
"3 masjidon ke siwa kisi muqam ko mutbarak samajh kar us ki taraf safar nahin kiya ja sakta: Masjid Haram, Masjid Nabvi aur Masjid Aqsa."
logoblog

No comments:

Post a Comment