Mohenjo Daro History In Urdu Mohenjo Daro Information

  Admin      
Mohenjo Daro History In Urdu: Wadi sindh ki qadeem tehzeeb ka aik markaz tha. Ye Larkana se 20 km door aur Sukkur se 80 km janoob maghrib mein waqia hai. Ye wadi sindh ke aik aur aham markaz se 400 mile door hai ye shehar 2600 qabal masih mojood tha aur 1700 qabal masih mein namaloom wajuhat ki bana par khatam ho gya. Taham mahireen ke khayal mein darya-e-sindh ke rukh ki tabdeeli, sailaab, bairooni hamla awar ya zalzala aham wajuhat ho sakti hain.
Mohenjo Daro ko 1922 mein British experts asar-e-qadeema Sir John Marshall ne daryaft kiya aur un ki car aaj bhi Mohenjo Daro ke ajaib khanay ki zeenat hai.
Mohenjo Daro
Lekin aik maktaba fikar aisa bhi hai jo is tasar ko ghalat samajhta hai aur us ka kehna hai ke isay Hindustan ke mahir asar-e-qadeema RK Bhandar ne 1911 mein daryaft kiya tha. Mohenjo Daro conservation cell ke sabiq director Hakin Shah Bukhari ka kehna hai ke "RK Bhandar ne Buddism ke muqadas muqam ki haisiyat se is Mohenjo Daro ki tareekhi haisiyat ki janib mabzool karwai, jis ke lag bhag aik ashray baad Sir John Marshall yahan aye aur unhon ne is jagah khudai shuru karwai."
Mohenjo Daro sindhi zuban ka lafz hai jis ka matlab (meanings) murdon ka tayla hai. Ye shehar bari tarteeb se bana hua tha. Is shehar ki streets khuli aur seedhi thien aur pani ki nakasi ka minasib intezam tha. Andazan is mein 35000 ke qareeb log rihaesh pazeer thay. Experts ke mutabiq ye shehar 7 martaba ujar aur dobara basaya gya jis ki aham wajah darya-e-sindh ka sailab tha. Ye shehar united nations ke adara baraye taleem. science aur saqafat Unesco ki janib se almi wirsa qarar diye gye muqamat mein shamil hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment