ATR Jahaz Kaise Banta Hai PIA Jahaz Ka Hadsa Jahaz Ki Maloomat

  Admin      
7 december 2016 ko PIA ki flight 661 ke hadsa ke natijay mein 47 afrad janbahaq ho gaye thay ye jahaz France ki company ATR ka chota jahaz tha. Ye jahaz kyun istemal kiye jatay hain is ki bohat si wajuhat hain aaj main aap ko is bare mein khuch maloomat doun ga.

France ki company ATR 1981 mein wajood mein ayi ye company 2 iqsam ke jahaz banati hai jin mein aik ATR42 aur dusra ATR72 aircraft hain.

ATR tayara is lihaz se aham hai keh is ki parwazon ko chalanay par jet jahazon ki nisbat bohat kam akhrajat uthtay hain.  Isay aik pilot aur first officer ke sath uraya ja sakta hai. Is ke ilawa is tayare mein endhan ka istemal dusre tayaron ki nisbat bohat kam hota hai is liye isay kam kharch bala nasheen tayare ke toor par dekha jata hai. Is ke ilawa is tayare ke liye gate par seerihon ki zaroorat nahin hoti aur tamam kaam ba asani machinon ke baghir kiye ja sakte hain.

ATR tayara Pakistani behriya ke ilawa dunya bhar mein kayi fauji aur cavillion companiyan istemal karti hain. Is ke ilawa ye tayare kachay runway ya sahil par bhi utarne aur parwaz karne ki salahiyat rakhte hain.

PIA ko gilgit, chitral aur panjgor jese hawai adon ke liye parwazain chalani hoti hain jo in alaqon se rabtay ka aik intihai aham aur zaroori zariya hain. Gilgit aur chitral ke hawai adon ke liye fokar ya ATR se zayada mozon aur koi tayara nahin kyun keh ye mukhtasir runway par utarne aur take off karne ki salahiyat rakhta hai.

Filhal PIA ne tamam ATR jahaz ground kar diye hain jo keh chitral jahz ke hadsay ki final tehqiqat ke baad hi dobara chalaye jayain ge. 
logoblog

No comments:

Post a Comment