Plants na sirf ghar ki beauty main izafa kartay hain balkeh ye mahol (Environment) ko pollution se pak rakhnay main aur usay khush gawar bananay main bhi mawan sabit hotay hain. House main beautiful plants ki presence khaton-e-khana ki saliqamandi aur khush zoki ki ilamat hai. Aksar women's ghar main vegetables uganay ki bhi shokeen hoti hain kyoun keh is hobby ki wajah se ghar baithay fresh aur clean vegetables unhain mil jati hain.
Teesra marhala beej (seed) ki dastyabi ka hai tou ye easily plant nurseries se liye ja saktay hain. Agar nursery se seeds ke hasol main difficulty ho tou surkh paka howa tamatar suka kar us main se seed hasil kiye ja saktay hain isi tarah karailay, tarai, bhindi aur hari mirch suka har beej hasil kiye ja saktay hain, podenay ki jarain (roots) hasil kar ke usay ugaya ja sakta hai. Gharz jitna mumkin ho sakay aap tarkariyon ke beej hasil kar ke unhain gamlon main lagayain aur khuch hi arsa baad aap dekhain gi ke aap ki mehnat rang le ayi hai. Zayadatar logon kakhayal hai ke gamlay aur kayariyon se hasrat al arz main izafa ho jata hai. Agar aap un places par safayi suthrayi ka khayal rakhain tou tou keray insects paida nahin hon gey aur tarkariyan aur dusray poday haray bharay aur fresh nazar ayain gey. Flowerpots aur kayariyon main herbs, vegetable uganay ke liye aisi jagah ki selection ki jaye dhoop sunlight asani se pohanch sakay khuch poday chiryon birds ki marghoob ghaza hotay hain jesay dhanya, mirchain, tarai aur ajwaen ke poday in ki special care karni parti hai.
Agarchay is work ko start karnay main kafi difficulties face karni par sakti hain magar aap ki hard word mehnat rayegaan nahin jaye gi. House main ugay howe fresh flowers, vegetables aur dusray plants aap ke liye behad karamad aur mufeed sabit hon gey.
Kitchen Gardening Picture
Plants Wallpaper
Kitchen Garden Plan
Vegetable Garden Images
Ghar agar bara ho tou kitchen ke aqbi hisay main aik chota sa kitchen garden banaya ja sakta hai, lekin small house honay ki surat main gamlon Flowerpots main bhi khuch sabziyan ugayi ja sakti hain. jesay palak Spinach, kareela Bitter gourd, podeena Mint, dhaniya, hari mirch Green pepper, tamatar Tomatoes wagera. Thori si mehnat ke zariye aap ghar baithay fresh vegetables hasil kar sakti hain bas aap ko ye khayal rakhna hai ke kon si sabzi kis mausam main ugayi ja sakti hai. Ghareelu kasht kari matlab house farming ka sub se bara fayeda ye hai ke is barhti hoi mehngayi ke door main bazar main biknay wali muzar sehat aur basi sabziyon se jaan choot jati hai. Flower pots ke ilawa plastic ki bottles, baltiyan aur darmyanayy size ke tub vegetable growing yani sabziyan uganay ke liye use ki ja sakti hain. Gardening main sub se sub se zayada important ansar soil mitti hai. Kayariyon aur gamlon ki mitti jitni achi ho gi utni hi achi sabziyan grow hon gi. Plants uganay ke liye kisi kisam ke samaan ki zaroorat nahin hoti albatta mitti ke sath sath khaad Fertilizer bhi zaroori hoti hai, is maqsad ke liye khushk peesay howe pattay gannay (Sugarcane) ki pert ya agar animals waste yani janwaron ka fuzlah easily available ho sakay tou bator fertilizer usay use kiya ja sakta hai.
Kitchen Garden in Pots on terrace roof
Kitchen Garden Design
Kitchen Gardening India Vegetable Plant
Growing Vegetable Picture
Agarchay is work ko start karnay main kafi difficulties face karni par sakti hain magar aap ki hard word mehnat rayegaan nahin jaye gi. House main ugay howe fresh flowers, vegetables aur dusray plants aap ke liye behad karamad aur mufeed sabit hon gey.
No comments:
Post a Comment