Murree Travel Guide in Urdu Pictures Murree Videos

  Admin      
Murree Travel Guide: Mausam khizan main murree ka safar bohat interesting ho jata hai. Aaeye aap bhi murree hills ke safar mere sath karain aur murree ke khubsurat nazaron ka maza li jiye.
Rawalpindi ke faizabad bus station par tarah tarah ke phal aur rairhi walon ke asman sar par uthaya hota hai. Aik sath aik jesi shops main khanay peenay kicheezain baichnay walay tourists ko apni taraf khaichnay lagtay hain. Baaz log apna gala kharab karnay ke bajaye. Baaz log apna gala kharab karnay ke bajaye tape recorder main apni awaz record kar laitay hain aur dukan khultay hi un ka volume full ho jata hai. "Dus rupaya glass dus rupaya glass" sunn sun kar sar dard honay lagtay hai. Us awaz main juice ki price ke sath sath mukhtalif instructions bhi record hoti hain. jesay "jaldi aaeyay, bheed main apni jaibain sambhaliye, chotay jaldi kapra maar."
 Sayah (Tourists) bayzar ho kar us van main jhanktay hain murree janay walay log gari chalnay ka besabri se intzar kartay hain. Driver jald hi namudar ho jata hai, abhi dhoop main tamazat hai. Gari ka horn bajtay hi musafir andha dhundh andar anay lagtay hain, jald hi murre road ke traffic main gari dornay lagti hai, kahin koi jalsa jaloos ho tou us road ki shamat ajati hai aur murree janay wala rasta band kar diya jata hai.
 Jald hi muzakraat ke zaroye sarak khul jati hai, Bheed se nikaltay hi driver raftar barha deta hai. Usay jaldi pohanchna hai, zara dair baad hi sard hawaon ke jhonkay ehsas dilatay hain ke pahari ilaqa shuru ho chuka hai. Khuch hi dair main gari trait ke aday par ruki. Trait se agay window se jhank kar dekhain tou sarak ke kinaron par barfani naliyan behti dikhayi deti hain.
 Pc hotel bhurban murree pic

 awesome clouds of murree
 snowfall muree hills picture
 How To Reach Murree In English Article
 bhurban main perach continental hotel ka andar ka khubsurat manzar
 murree ki barafbari ki chadar khud par urh kar kisi mazbot chitan ki tarah khara howa murree ka hotel

 beautiful trees of beautiful murree
 Malkah Kohsar Murree Kashmir Point Picture
 Valleys Of new Murree scenes
 Chair lifts of murree
 Best hd wallpaper of murree hills
 Houses of murree on mountains
 dhoondh main nahaye howe patriata murree ke pahar
 snowfall and chair lift picnic place
 rain in murree - cold weather - murree winter season
wallpaper skycraper murree
 full view of murree city coverd with heavy snow
 Murree Snowfall 2022
 Murree Snowfall 2022 pictures
 
 beautiful flowers, grounds and gardens of murree in spring season
Ye buland alaqon se anay walay barish ka pani hai. Aam toor par yahan driver apni gariyan dhonay ke liye park kartay hain, ird gird lakri ki dukanon main garam pakoray, ublay anday aur taza chaye ki mehak khumar main mubtala karnay lagti hai. Aik bayfikray tourist ke liye ye kisi naimat se kam nahin hai. Tanha anay walay un khandanon ko hasrat se dekhtay hain jo apni biwi aur bachon ke sath comfortable chairs par tea pee rahay hotay hain aur family ke sath aye howe log un tanha afraad ki taraf dekh kar rashk kartay hain.
Main ne aik khandan ke sarbarah Ahsan Ali se is baray main pucha tou us ne kaha:
"Hum Karachi se aye hain, darmyanay tabqay se taluq rakhtay hain, teen char doston ne murree janay ka programe banaya, wesay tou murree janay ka irada kafi arsay se ban raha tha magar amal daramad is saal howa. Hum ne is ke liye money (paisay) jama ki, kamaitiyan dalien tab ja kar yahan anay ke qabil howe. Mujhe pata nahin tha ke biwi bachon ke sath yahan 1 week guzarnay ka matlab 30, 40 hazar ka kharch (cost) hai. Hum ne zayada paer nahin phaylaye, train ki economy class ka ticket liya aur safar kiya, aur september october main kyoun ke kam log atay hain is liye sasti rihaesh (Accommodation) ke chakar main humain ye mausam theek laga. Jahan tak log tanha atay hain un ke mazay hain har kisam ki azadi hai magar biwi bachon ke sath bohat mushkil hai." 
Ye keh kar us ne kin ankhon se us kursi ki taraf dekha jahan un ki wife bharkeelay libas main makeup main mashghool thien. Chara Pani se agay aik pagdandi nama rasta Nand Kot ki taraf ja raha tha jahan sar sabz darakhton ke neechay 2 surkh-o-safaid bachyan sar par dupatta orhay shayad madrasa ki taraf ja rahi thien. Kareeb khari wegon main 2 burqa posh khawateen kisi narangi walay se bhai tao kar rahi thien. Buland darakht ahista ahista dhoond main chup rahay thay. Driver mausam pehchan laitay hain is liye woh yahan se rukay baghair andhay mod cross kartay half hour main Murree ke bus stop par ruk jatay hain. Yahan amooman bonda bandi rehti hai. Rush kam honay ki wajah se bus aday ki ronaq pheeki par jati hai aur Hotel walon ke agent aik do tourists (sayahon) ko khatar main nahin latay. Murree aday ke paas cart road par sastay hotel (Affordable murree hotels) qataar main hain. Yahan hotel ke aik double bed ke room ka rent rate 500 (5 hundred rupees) tak main easily mil jata hai. Magar june july main in kamron ki 5000 rupees tak main bhi booking hoti hai.
Murree Mall Road janay ke liye taweel sheeriyan teh karni parti hain jin ke itraf bani shops main mukhtalif ashya qadam rok laiti hain. Mall road par pohanchtay hain hamaisha ki tarah rang-o-noor ka aik saylaab behnay lagta hai. Road par chaltay phirtay logon ke chehron par asoodgi, itminan aur khushi hai jesay ye Pakistani na hon. Un ke kabil-e-deed libas, expensive Restaurants main Tikkay aur Karahi Gosht ki taraf barhtay hath aur icecream,

Coffee ki shops main hajoom aik ajeeb sama paida karta hai. Yahan aik general store owner Aurangzeb ne bataya ke:
"Murree har season main profit deta hai siwaye Ramzan ul mubarak main. Yahan maal road par chehal pehal rehti hai khasusan holidays main tou rush bohat bharh jata hai."
"Aur hum daam dugnay kar detay hain?"
Mere question par us ne dhatayi se hans kar kaha:
"Tou kya karain dukandar munafa nahin kamaye ga tou mar hi jaye ga. Yahan humain 1 Chapli Kabab 30 rupee ka parta hai lekin hum tourists ko 100 rupees main sale kartay hain yani double profit se bhi zayada laitay hain. Log itni door se tafreeh ke liye atay hain."
 Us ne asman ki taraf dekh kar hath uthaye.
  Yahan Pindi Point janay wali road ke konay par post office bana hai jis ke chorahay ke fashionable girls aur boys aik dusray par fiqray kastay rehtay hain. Honeymoon couple aik dusray ke hath thaam kar murree ki unchi neechi galiyon main ghoom rahay hotay hain. Maal road ke aqab main Kashmir Point ki taraf bhi rasta jata hai yahan paidal chalnay ka alag lutf hai. Murree ke ghanay aur khushbudar trees ke darmayan pahari dhalanon par chaltay chalay jayain. Kabhi bheegay howe mausam ka ehsas hota hai tou kabhi yakh basta jhonkay chunay lagtay hain. Tourist ki nazrain saray manzar par cha jati hain.

  Samnay aik hotel ke hall ka view saaf nazar ata hai, jis main qeemti table, chairs par khubsurat bachay aur un ke mummy papa athkhailiyan kar rahay hain. Aik table par haijan kheez libas main 3 larkiyan sar joray apas main sargoshiyan kar rahi hain. Aik nayi dulhan menu par likhay balti murgh par ungli rakhay apne husband ki taraf dekh kar muskura rahi hai. Hall main heater ki naram garam fiza hai aur hotel ki window talay bahir road par muqami childrens phatay phatay kapron main chanay aur flowers baichtay dikhayi detay hain. Main ne is farq se mutaliq apna digital camera uthaye Zaman Khan se pucha tou us ne muskura kar faqat yehi kaha:
"Ye sub naseeb hai, Allah jisay chahta hai usay nawazta hai."
Murree ki sham evening khatam hotay hi raat ke manazir jaag uthtay hain. Log icecream khatay aik dusray se mutarif hotay chehal qadmi kartay hain.

Mahol ki freshness se har chehra shadaab dikhaye deta hai.
   Murree se agay patriata ki chair lift ki sair ke bina ye murree ki kahani (story of murree) adhuri rahay gi.
Car ke zariye ye aik beautiful journey hai intihai haseen safar hai.

 patriata chair lift picture
beautiful view of patriata chair lift
Murree Night
Malka Kohsar Murree Raat Ka Nazara - Famous Places In Pakistan
 Yellow Sun Flowers 2014

Jhika Gali main clouds hamaisha ki taraf zameen se lag jatay hain. Ye badal jhika gali ki shops aur jhika gali houses main bina ijazat dakhil ho jatay hain, Jin ki mojodgi gheeli gheeli thandak ka ehsas dilati hai. Behtar hai Jhika Gali se paidal safar kiya jaye. Jo log murree ki gehma gehmi main dilchaspi nahin rakhtay woh pursakon muqamat ke toor par woh Bhurban ya Nathia Gali ka rukh kartay hain. Kaldna Chock se paidal janay walay tourists aam toor par woh nojawan treaker hotay hain jo Patriata ke mountains par top tak chalay jatay hain. Ye aik yaadgar safar hai jahan khizan main bahar ke mazay liye ja saktay hain.
Sea level se 8000 feet se zayed is buland jungle main yaad nahin rehta ke shehar main habs hai, hawa ruki hoi hai aur petrol ki boo main logon ka dum ghut raha hai magar Murree ka autumn season na sirf haseen hai balkeh zinda rehna ki naweed deta hai. Sar sabz darakhton main  pur sakon khamoshi ka raj hai. Neechay junglon si taraf se bheeni bheeni khushbuwain  madhosh karnay lagti hain. Shakon main khilay phool flowers sayahon par barasnay lagtay hain. Kahin darakhton se pattay jharnay lagtay hain. laal tambay ke colour main dhal janay walay leaves khabardar kartay hain ke ayenda chand roz main baraf girnay wali hai. Yahan kachi pagdandiyon par aram se paidal nikla ja sakta hai.

Kahin andar jungle main animals ki awazainbhi sunai deti hain aur koi bandar (monkey) rastay main bhi ajata hai magar un se khoofzada honay ki zaroorat nahin hai. Wese bhi aaj ka insan apne hum jins ke ilawa kisi aur se nahin darta.
New Murree ka area kafi hight par hai is liye ye deep freezer ka mahol paish karta hai. Dopehar ke baad murree ke jungle main fog chanay lagti hai aur saray rastay, ghar, makanaat, villages, valleys murree ki dhoondh main doobnay lagtay hain. Yahan aik qadray unchay mod se Kashmir ki baraf posh chotiyan dikhayi deti hain. Kashmir ke paharon par chadar ban kar lipti hoi snow intihai haseen manzar paish karti hai aur dil karta hai ke murree main bhi snowfall phir shuru ho jaye. Kashmir ki chotiyon ke daman main surch khaprail ki chatain Switzerland ka manzar paish karti hain. Tourists jub Patriata ke top par pohanchtay hain tou ye aik karnama hota hai kyoun keh aam toor par safar karnay walay cable car ke zariye Punjab ke is buland tareen muqaam par pohanchtay hain jahan se neechay chair lift ke rastay main saaf suthray farsh par kushada stairs aur railings lagi hain jahan log qataar bana kar tickets purchase kartay hain. Ye sunsani khaiz safar 1300 meter ka safar tay karata hai jo chair list ke zariye hota hai is ke ilawa murree ki cable car ke zariye mazeed 1800 meter ki unchai par jaya ja sakta hai. Ahni raston par ye safar aik murree adventure hai. Sunsan junglon main guzartay, kisi ghar ki chat par ghar walon se Salam Dua kartay ye bayintiha interesting murree journey hai. Samnay se anay wali chair lift main baithay afrad se bhi hello hi hoti hai. Baaz nojawab khawateen par fiqray kastay hain. Kabhi koi josh jawani main badtameezi se bhi baat kartay hain jis ka khamyaza unhain saza ki surat main bhugatna parta hai.

 Hotel in Murree Wallpaper Pakistan
Murree ke Kashmir Point ke nashaibi jungle main bhi sham ke waqt  chehel qadmi ki ja sakti hai. Abadiyon se hat kar aik rasta jungle (jungle of murree) ki taraf nikalta hai. Kabhi koi sayah akelay hi nikal partay hain aur woh har kisam ke khauf aur waswason se benayaz is khizan ka lutf uthatay hain jo is alaqay main khubsurat sama bandh deti hai. Yahan agey ki simt, murree aik tang wadi (valley) main badal jati hai jis ke itraf unchay pahar pehra detay hain. Kahin kahin chatanon ke saye talay aik choti nadi bhi behti dikhaye deti hai jis main suraj ki kirnain shamil ho kar usay sona bana deti hain. Kareeb kharay shah baloot ke darakht sadyon se ye manzar dekhtay aye hain. Ye darakht khamosh rehtay howe bhi sadyon ki dastanain sunatay hain. Tourist kachi sarak par chalta jata hai, us ke kinaron par shola rukh chanar, badam ke darakht, saib aur nashpatiyon ki khushbu mehsor karnay lagti hai.
Naram zameen par barisht ke nishan dikhaye detay hain. Kahin achanaq se bhairon ka rewar us ka rasta rok laita hai aur koi charwaha usay dekh kar thathak jata hai. Tourist sochta hai ye manzar sirf filmon main nahin hota balkeh ye haqeeqat bhi isi tarah hai. Magar insan ne in raston main jana chor diya hai. Woh bacha hai tou usay apni maa ki ungli thamni parti hai. Young hai tou usay computer, mobile, laptop aur ipod aur nayi nayi ijadaat usay kisi aur taraf nazar uthanay nahin deti aur shadi shudah shukhs tou bhool jata hai ke us ke khud ke koi ehsasat bhi hain ya nahin. Magar aik sayah jub sari zanjeerain tor kar ajnabi raston se guzarta hai tou usay wohi khubsurati dikhayi deti hai jo murree ke junglaat main phaili hai. Magar city se junglon main jaye kon?
       Main ne murree se wapsi ka programe banaya tou ghar jatay waqt muree ke paharon par meri mulaqat aik tourist se hoi jis ka name Ali tha. Maine un se pucha ke murree aap ko kesa laga? Ali ne murree ke paharon par parri hoi snow aur ird gird ki khubsurat wadiyon ki taraf dekha aur muskuratay howe bas itna hi kaha.
"Aaj main yahan se ja raha hon par zindagi rahi aur aap se phir inhi paharon par mulaqat hoi tou aap ko zaroor bataon ga ke ye jagah kesi hai."
Hum dono muskura diye aur apni apni manzilon ki taraf rawana ho gaye. Murree se main theek 11 bajay subah ghar wapsi ke liye nikal para kyoun keh main janta tha ke murree ki snowfall aisi haseen hai ke woh mujhe aik din phir se ruknay ke liye majbor kar lay gi.
Pariyon ki tarah asman se utarti hoi white snow kis tarah murree ke paharon ko choom kar cha jati hai ye manzar itna haseen hai ke insan apne ghamon ko khuch pal ke liye bhool jata hai aur qudrat ke haseen nazaron main kho jata hai. Maine ghar jatay howe apni gari main se murree ki places ko alwida kehtay howe us ke khubsurat nazaron ki khuch yadgar murree pictures bana lien aur murree main guzaray howe moments ko yaad kartay howe murree ke scenes se door nikal gaya.
logoblog

No comments:

Post a Comment