Khana Banane ki Recipe in urdu Nargasi Koftay

  Admin      
Ingredients:
Keema: Adha kilo machine ka
Khashkhash: 2 chaye ke chamchay
Surkh Mirch Powder: 1 chaye ka chamcha
Dhaniya Powder: 3 chaye ke chamchay
Haldi Powder: 1 chaye ka chamcha
Garam Masala pisa howa 1 chaye ka chamcha
Sabat Garam Masala Mix: 2 khanay ke chamchay
Lehson adrak paste 2 khanay ke chamchay
Hara Dhaniya 2 khanay ke chamchay bareek kutra howa
Hari Mirchain 2 se 3 bareek kutri hoi
Anday 6 adad sakht ublay howe
Oil hasb-e-zaroorat
Namak hasb-e-zayika
Anda 1 adad kacha
Chanay 2 khanay ke chamchay pees lain
Dry Fruite sajawat ke liye
Payaz 6 se 8 adad
How to make Nargasi Kofta Recipe In Urdu
Method:
Khashkhash ko adhay ghantay ke liye pani main bhigo dain, phir pani nathaar kar usay bareek pees lain. Payaaz ko lambai ke rukh par bareek bareek kaat lain.1 payalay main namak, surkh mirch powder, dhaniya powder aur haldi powder daal kar adha cup pani main mix kar lain. Ublay howe andon ko do do hison main kaat lain, phir aik bhari painday ki pateeli main oil garam karain aur phir us main sabat garam masala daal kar karkarayain aur phir tail se nikal kar aik taraf rakh dain. Ab oil main kati hoi payaz daal kar light brown karain phir lehson adrak paste shamil kar dain. Zara sa bhunnay ke baad us main apni mix kiya gaya masala bhi daal dain aur achi tarah se bhoon lain. Pani khushk honay par masalay main 1 cup pani mazeed shamil kar lain. 1 baray payalau main keema, hara dhaniya, hari mirchain, khashkhaash aur garam masala powder ke ilawa namak daal kar achi tarah mix karain. Phaintay howe anday main pisay howe chanon ka powder shamil kar ke mazeed phaintain aur phir us amaizay ko keemay main shamil kar dain. Ail alehda pateeli main fry kiya howa garam masala aur 1 liter pani daal kar ubalain, phir usay aik bari steel ki plate se dhanp dain aur plate par zara si chiknai laga dain. Qeemay ke koftay banayain aur har koftay main adha adha anda rakhti jayain aur usay qeemay ke amayzay se achi tarah cover kar ke gool kofta tayar kar lain. Tamaam qofton ko ahistgi ke sath steel ki plate par rakh kar bhaap dain. Bhaap ajanay par qofton ko ehtiyaat ke sath 5 minute ke liye halki aanch par paktay howe masalay main daal dain aur mazeed paknay dain. Jub qoftay achi tarah pak jayain aur masalay ka pani aik chothai reh jaye tou utaar lain aur haray dhaniye aur dry fruites se garnish kar ke paish karain.
logoblog

No comments:

Post a Comment