Duck Information In Urdu Duck Farming In Pakistan Batakh - Ducks In Hindi

  Admin      
Duck Information In Urdu Duck Farming In Pakistan: Pani mein tairti masoom si batakh bari bhali maloom hoti hai. Duck ka taluk Anatidae khandan se hai jab ke sciency name Anas hai. English mein batakh ko duck kehtay hain. Qadeem zamanay mein is ka matlab ghota khor hai. Ye janwar ghas, aabi podey, machliyan, mandak ke bachay wagera bare shoq se khata hai. Is janwar ko log gharon mein palto janwar ki haisiyat se bhi rakhte hain.

Duck In Urdu
Batakh ki jisamat 17 inch se 16 inch hoti hai. Nar janwar ke par zayada khubsurat aur rang barangey hote hain. Deegar parindon ki tarah in ke daant nahin hote. In ki mazboot lambi si chonch hoti hai jo ghaza ya shikar ko pakarne ke kaam aati hai. In ki aksar iqsam saal mein aik martaba andaon se bache nikalti hai. Female duck anday dene ke baad lag bhag 28 din tak anday seeti hai. Andon se bachay nikalne par maa bachon ko dhakail kar pani ki taraf lay jati hai. Jahan bache maa ki naqal karte hue khana, peena seekhte hain.

Ducks bar-e-azam Antarctica ke siwa sari dunya mein payi jati hain. Loomriyan aur magarmuch in ka shikar kartay hain. Dunya mein sub se zayada batkhain Cheen aur us ke baad janoob Asia mumalik mein payi jati hain.
logoblog

No comments:

Post a Comment