Khana Kaba Par Qabza Ki Sazish Ka Waqia Masjid Al Haram Islamic Article: Aaj main aap ko us waqia ke bare mein bataon ga jub Khana Kaba par qabza ki sazish hoi thi is sazish ko nakam banane ki ye sa'adat Allah Ta'ala ne pakistan fauj ko ata ki.
20 november 1979 ko oteebi nami manhoos shakhs ne apne sainkron dehshat gard sathiyon ke sath Khana Kaba par qabza ki sazish ki aur Khana Kaba mein mojood sainkron hajiyon ko yarghamal bana liya.
oteebi ke is amal se puri dunya ke Musalman sanatay mein aa gaye thay aur fori tor par dunya bhar ke uloma ne us ke khilaf fatwa diya aur Khana Kaba ke andar karwai karne ki bhi ijazat di. Wahan Saudi army aur french army mojood thi.
dehshat gardon ke paas snipers aur sharp shooters thay jinhon ne Masjid Al Haram mein jagah jagah positionain sambhal lien. 2 din tak muqabla hua lekin Saudi fauji shahadaton ke bawajod Saudi aur french army zara bhi kamyabi hasil na kar sake.
Puri dunya ki tarah Pakistan mein bhi zabardast bay cheeni thi aur general zia ul haq ne ssg commandos ka aik dasta tarteeb diya tha aur woh musalsal Saudi Arab se rabte mein thay keh unhain operation karne ka mauqa diya jaye. Bilakhir 2 din baad pakistan ki fauj ko karwai karne ka mauqa diya gaya.
Kaha jata hai keh pak fauj ke is dastay ki qayadat jo captaan kar rahe thay us ne operation se pehle Khana Kaba ki hurmat ke liye jawanon ko jaan dene par amada kiya. Nihayat kam waqt mein operation ki mansooba bandi ki gayi. Pakistani commandos ne dehshat gardon aur jahanum ke haqdaron ke snipers se nimatnay ke liye aik ajeeb tarkeeb istemal ki aur puray Masjid Al Haram mein pani chorr diya. Phir us dastay ke commandor ne Saudi hukumat se farmaesh ki keh us ke jawanon ko helicopter ki madad se masjid mein jagah jagah drop kiya jaye. Saudi hukumat ne us mein lahaq shadeed khatray ka izhar kiya lekin pakistan army ke israr par unhain masjid mein utara jane laga. Jis waqt unhain Masjid mein utara gaya usi waqt puri Masjid ki geeli zameen mein current chhora gaya jis ki wajah se dehshat gardon ke sharp shooters aur snippers khuch dair ke liye ghair mosar ho gaye. Pakistan army ne tamam dehshat gardon par qabu pa liya baghair kisi jani nuqsan ke aur sub ko fori tor par giraftar kar liya aur tamam yarghamaliyon ko rihai dilai gayi.
Is tarah Allah Ta'ala ne ye azeem sa'adat pakistan ko ata ki. Allah hamare un rohani marakaz Makkah aur Madina ko hamesha qaim o daim rakhe aur unhain hasadon ke shar se mehfooz rakhe Aameen.
No comments:
Post a Comment