Markhor History In Urdu Capra Falconeri Animal Markhor Information

  Admin      

Makhor Animal Types: Ab tak markhor ki 3 iqsam almi tor par taslem ki jati hain ye kon si 3 iqsam hain aaeye jante hain.

1 - Istor Markhor: Ye kashmiri markhor aur peer panjal markhor se milta julta hai aur is ke seeng bare aur chaptay hote hain jo taqreeban seedhay hote hain. Ye afghanistan mein lughman aur nooristan ke moonson janglaat mein paya jata hai. Ye jammu kashmir ki mutnaze sarhad par par bhi paya jata hai aur wadi jhehlum ke janglaat mein bhi is ke paye jane ke shawahid milay hain. Pakistan mein chitral, gilgit bultistan, kohistan aur hunza jese khubsurat tareen ilaqon mein bhi ye paya jata hai.

2 - Bukharai Markhor: Pehle markhor ki ye qisam aamu darya aur pyaanj darya ke shumali kinaron par waqe janglaat mein payi jati thi jo turkmenistan aur tajikistan tak pheelay hue thay taham ab in ki 2 ya 3 abadiyan nisbatan kam raqbe mein mojood hain. Afghanistan mein tajikistan ki sarhad ke paas in ke paye jane ke imkanaat mojood hain.

3 - Kabuli Markhor: Is makhor ke seeng bal dar aur muray hue hote hain 1978 tak kabli markhor sirf afghanistan mein kabul ke silsilon, koh e safi aur un ke darmiyan mojood thay. Kaseer tadad mein shikar ki wajah se ab ye subah kabul ke intihai door daraz ilaqon mein paye jate hain. Pakistan mein in ki abadi balochistan ke door daraz maqamat, subah khyber pakhtunkhwa aur punjab mein dera ghazi khan ke ilaqon mein payi jati hai. Khyber Pakhtunkhwa ke mehkma janglaat ke mutabiq mardan aur sheikh badeen ke ilaqon mein in ki abadi mojood hai. Safaid koh ke Pakistani hisay (Kuram aur Khyber Agency) mein kam az kam 100 ke qareeb markhor mojood hain.

Khatrat

Bartanwi raj ke dinon mein markhor ko msuhkil tareen shikar tasawur kiya jata tha kyun keh ye dushwar guzar raston aur pahari silsilon mein paye jate thay. Agarcheh afghanistan mein in ka shikar ghair qanooni hai lekin nooristan aur lughman ke ilaqon mein in ka shikar riwaiti tor par kiya jata raha hai aur mojooda afghan jang ke door mein is mein mazeed izafa hua hai. Bharat mein Pakistan sarhad ke qareeb ab bhi in ka shikar kiya jata hai aur Tajikistan, uzbekistan aur turkmenistan mein markhor ka shikar khorak ke ilawa in ke seengon ki wajah se bhi kiya jata hai jinhain mukhtalif desi adwiyat mein istemal kiya jata hai. Markhor ko amreeci riyasat Texas ke ilaqon mein niji shikar gahon mein rakhne ke liye bhi istemal kiya kane laga hai.

Hifazati Darjah

Qudrat aur qudrati wasail ke tahafuz ki almi tanzeem IUCN ke mutabiq markhor ko aise janwaron ki saf mein shumar kiya jata hai jin ka wajood khatray mein hai. Yani agar in ki hifazat ke liye munasib iqdamat na kiye gaye tou mustaqbil qareen mein ye qurah e arz se hamesha hamesha ke liye nayab ho sakte hain. Khulay janglaat mein ab in ki kul tadad sirf 2000 se 2500 ke darmiyan hai. Is waqt dunya mein sub se zayada markhor Pakistan mein mojood hain jin ki tadad taqreeban 1500 se zayada hai. Magar dunya mein in ki itni kam tadad khatray ki taraf ishara karti hai aur zaroorat is amar ki hai keh is khubsurat janwar ko hamare is sayare se khatam hone se bachaya jaye is ke shikar ko har surat mein roka jaye warna woh din door nahin jub ye janwar hamain pakistan ka ye qaumi janwar sirf kitabon mein milay ga.

Yaad rahe markhor ko Pakistan ka qaumi janwar (national animal of Pakistan) hone ka aizaz hasil hai par is ke ilawa ye un 72 janwaron mein shamil hai jin ki tasaweer almi tanzeem baraye jangli hayat yani wwf ke 1976 mein jari kardah khasoosi sikah jaat ke majmooe mein hain. 

logoblog

No comments:

Post a Comment