90 Wedding Red Rose Flower Wallpapers Love Roses Pictures

  Admin      
Red Rose ke baray main kaha jata hai ke ye 32 million saal se dunya main khubsurati ka symbol bana howa hai. Laal phool pyar ki ilamat hai. Mohabbat karnay walay valentine's day par red rose apnay pyaron ko detay hain. Zaroori nahin ke red rose sirf us ko hi diya jaye jo aap ka lover hai. Mohabbat larki aur larkay ki chahaton tak hi mehdood nazar nahin ati is main father, mother, sister, son, wife, husband, friends, close family members aur dusray rishtay bhi mohabbat ki hadood main atay hain. Rose ke meanings ke baray main bohat si websites par bohat saray articles mil jayain gey par yahan rose ke baray main urdu main meanings bataye gaye hain isi blog par. Aaj aap ke liye 50 ke kareeb red rose pictures ki collection post ki ja rahi hai.
Taza gulab ki tasweer red rose desktop
safaid aur laal phool - cute cream color and red colour flower
3 gulab ke phool
pink gulab
6 pink roses wallpaper
fantastic red flowers desktop background
Safaid phoolon wala cards ka cover
ghulab par shabnam ke qatray
valentine's day red roses and chocolate box
flower pics
In rose flowers main vitamin c paya jata hai aur in se na sirf jam banaya jata hai balkeh in se chaye aur syrup bhi banaye jatay hain. Ye phool herbal duaon (medicines) main bhi daltay hain aur in se vitamin c ki kami ko bhi pura karnay main madad li jati hai.
Phool aisi cheez hai jis ko shayar poet apni poems main apni ghalzon main apni nazmon main apne asharon main apni kitabon main apne novels main istmal kartay hain.  Sadyon se shayar apne mehbob ki tareef phoolon ka sahara lay kar kartay hain hain. Phir chahay woh koi urdu shayari karnay wala shayar ho ya phir woh english poetry karnay wala famous poet ho sub apni tehreeron ko phool ki tarah pyara bananay ke liye phoolon ko apne lafzon main apne words main shamil kar laitay hain. Shakspeare ho Emily Dickinson, Langston Hughes ho ua phir Allama Iqbal hon in sub shaeron ne apni phoolon jesi nazmain phoolon ka sahara lay kar likhien.
Aap in flower pictures ko mehfooz kar saktay hain ye sub high definition hd images hain red rose ki


Rose plant with so many red roses
Rose aik bohat bara gist bhi hai jisay wedding gifts ke toor par bhi log diya kartay hain. Phoolon ke guldastay jitnay pyaray lagtay hain un se kahin zayada pyaray tab lagtay hain jub phoolon jesay chehre un ko apne hathon main pakartay hain apne coat main lagatay hain balon main sajatay hain.
Phool amdani ka bhi aik bara zariya hai. Dunya main phoolon ke karobar se bohat saray log wabasta hain. Khuch log shadiyon par phoolon walay stage sajatay hain aur khuch weddinjg cars par phool sajatay hain, khuch roads par flowers baichtay howe nazar atay hain. Dunya main daily arbon phool flower shops se khareeday jatay hain aur is tarah ye phool bohat saray logon ki zindagi chalanay ka bhi aik bara zariya hain.
Interior aur exterior designs aisi cheezain hain jin par artists bohat tawaja detay hain. Phoolon wali bail aur rang barangay pooday gharon ke walls par lehratay howe jub dikhtay hain tou qudarti toor par woh ghar ke exterior design ka hisa ban jatay hain aur interior design ke toor par in flowers ko flower pot main saja kar bari khubsurati se rakha jata hai. Khuch log apne kitchen window main guldan rakh detay hain ya koi choti se bottle sheeshay ki rakhtay hain aur un main taza phool saja kar pani daal detay hain takay woh fresh rahay aur khuch artificial flowers lay atay hain aur apne ghar ki interior desiging kartay hain goya phool asli ho ya nakli dono tarah se khoobsurat lagta hai. Ye sub batain is baat ko sabit karti hain ke rose flower ka insan ki daily life main kitna gehra asar hota hai aur kitna gehra taluq hota hai.
Bohat se artists apni paintings main jub nature pictures ya nature sceneries banatay hain tou apni maharat ki nishaniyan flowers bana kar un main dikhanay ki koshish kartay hain. Flower wall paintings bhi banayi jati hain jin se gharon ki dawarain khil uthti hain.


tulip flowers in fields


If you like these flower pictures then please tell me about these rose screensavers in comments
flower bouquet
Birthday flowers
orange rose
winter wedding flowers
love roses
spring flowers
Phool na sirf khud khubsurat hota hai balkeh ye jis jagah khila ho us jagah ko char chand laga deta hai. phoolon ki bohat si kismain hain par gulab ke in laal phoolon ko is jahan main khilay howe tamaam pholon ka badshah kaha jata hai.
Khuda insan ko nawazta hai tou woh apne liye apna home sweet home banata hai aur apne house ke garden main rose plants zaroor lagata hai, chahay ghar ka lawn chota ho ya bara rose flowers ko log apne ghar main jagah zaroor de detay hain. Agar ghar main lawn na ho tou phir bhi phoolon ka naseeb itna acha hai ke in flowers ko gamlon main laga diya jata hai aur apne ghar ke terrace ya entrance main saja diya jata hai.
Red rose flower insan ki zarooraton ke liye dusray sub pholon se zayada use hota hai. is flower se arq-e-gulab banaya jata hai. Isi gulab ke phool ke oil or attar se perfume banayi jati hai ahem baat ye hai ke us rose perfume ki fragrance hoti tou bohat zabardast hai magar ye hai khulli haqeeqat hai ke taza khilay howe phool ki khushbu soonghna us perfume se kahin zayada insan ko madhosh kar deta hai.
Kabhi kabhi main sochta hon ke insan ke naseeb ke sath sath pholon ka naseeb bhi aik sa hi hota hai khuch pholon ko khushi naseeb hoti hai unhain khushyon se bhari mehfilain mil jati hain aur khuch ko ghamon ki mehfilon main laya jata hai.
Phool jahan bhi khilay hon achay lagtay hain aur in ki khushbu fragrance mahol mehka kar rakh deti hai. dost doston ko flowers detay hain aur apni dosti ki mazbuti ka ehsas dilatay hain. Bacha apni maa ko phool deta hai aur us se apni mohabbat ka izhar karta hai aur phir bara ho janay par wohi phool apni girl friend ke hathon main thama deta hai. Phool kisi na kisi tarah insan ki sari zindagi ke lamhon se jura rehta hai.
Phool aik khalis aur khubsurat tohfa hai qudrat ki taraf se khubsurati pasand karnay walon ko. Phool khamosh ho kar bhi zuban rakhtay hain har phool ka apna hi husn hai aur apna hi matlab hai. Red rose na sirf husn ki alamat hai balkeh is ka khayal atay hain zehan main tazgi bhar jati hai. Subah suraj ki kirnon main khilnay walay ye laal phool jub kisi bagh main khiltay hain tou woh red rose garden kisi jannat ka sa manzar paish karnay lagta hai. Agar kisi bagh main walk karnay ke liye subah ki khunk hawa main nikla jaye aur irfd gird laal phool sabz paton main se jhank rahay hon tou zindagi aur bhi haseen lagnay lagti hai. Khuda ne na sirf insan ko khubsurat banaya balkeh us ke ird gird khubsurati barhanay ke liye flowers uga diye sabza barha diya aur ye red roses mohabbat ke paigham ke toor par bhi is zameen par khiltay hain magar insan is paigham ki taraf tawajah nahin deta aur nafrat ke beejh bho kar samajhta hai ke un main se bhi koi kaal phool nikal kar zindagi haseen bana de ga.
logoblog

1 comment:

  1. Fresh flowers!!!! Nothing can be as beautiful as fresh flowers!!! The beauty of roses simply captivates me...

    ReplyDelete